Ram Janm Bhoomi Poojan
Sampoorn brahmand mein jinka saya
Vishwa janta hai unki maya,
Unke naam matra se hota upchaar
Lekar aya hun mein ek samachaar.
Agayi woh ghadi suhani
Ab dhaanche ki baat purani,
Dashako baad hai aya muhurat
Khil gayi hum sabki surat.
Lakho deepo se Ayodhya jagmagaya
Ram rajya hai wapus aya,
Charo dishao mein harshollas
Mandir ka hai shilanyaas.
Raj tilak ki hogayi tayari
Zindagi sawar gayi humari,
Ghar ghar hoga ek hi naara
Shri Ram se hai jag saara.
Shehar shehar hogi adhbut khushahali
Aur kheto mein saundarya hariyali,
Pavitra sthaan ka bhoomi pujan
Door hojaengi ab saari archan.
Saamne ayi bhakto ke chunautiyaan
Humne toofan mein chalayi kashtiyaan,
Thi humare samaksh anekho badhayein
Sankalp na todd saki duvidhayein.
Laga do edi choti ka zor
Ram naam ka goonje shor,
Barso se is pal ka intezaar
Jashn ho aisa ki lage tyohaar.
Khatam hua sadiyon ka vanvaas
Bhavya mandir ka hoga vikaas,
Saj gayi Prabhu ki pratima
Aur bhadegi bharat ki Garima.
Poore hindustan main bhagwa lehrayega
Jab chowkidaar pahli iett lagayega,
Jhoom uthega angan angan
Atyant Nirala hoga samgam.
Baad mein hoga dooja kaam
Pehle hoga mandir ka nirman,
Sabki zuban par ek hi naam
Jai Shri ram jai jai shri ram.
– Har Deepansh Bahadur Sinha.