Father’s Day Special ❤
Juda hai jinse mera naam
Jinke aashirwaad se bane kaam ,
Unke haath pakadkar chalna seekha
Mushkil ghadi mein khush rehna seekha .
Khud neeche rehkar mujhe upar khada kiya
Jo na maanga woh bhi diya ,
Jagat ki jise na koi moh maya
Aise adarsh pita ka mujh par saaya .
Kabhi ghoda kabhi sher aur kabhi bante haathi
Toh kabhi chanda mama fir lakadi ki kathi ,
Samhal lete mujhko jo kadam dagmagaye
Is nannhi jaan mein uski nas nas samaye .
Beete kuch baras sambhala maine hosh
Pal pal unhone badhaya mera josh ,
Bin bataye bhi sab hai pata
Khushiyon ko meri taraf modne mein laga.
Bachpan mein peeche aur ab mere saath rehte
Sankat ki ahat se pehle khud ko agey kar lete ,
Kaha se chukaunga aapka yeh ehsaan
Bohot ucha hai aapka pad pratishtha aur samman.
Bachpan mein hasate the par aaj milkar haste
Tab haath mein toffee aur ab hein khaste ,
Khilono se lekar kitaabon ka safar guzar gaya
Lag gayi naukri mein doosre sheher chala aaya .
Mata pita hein zaruri mere
Apne paas le aya na ki deri ,
Jagmaga utha ab ghar ka kona
Ab yaad mein nahi padega rona .
– Har Deepansh Bahadur Sinha