Mothers Day Special ❤-
Maa hai ishwar ki adbhut rachna
Kartavya jiska santan ko surakshit rakhana ,
Samast jagat karta aapko pranaam
Aapke aashirwaad se hota kalyaan.
Maa hai saraswati laxmi ka ehsaas
Unke roop mein durga ji ka vaas ,
Woh astha archana aur hawan
Jiske hone se chehke bhawan.
Apne mein maa hai prabhu ka naam
Jaise hum poojte hein chaaro dhaam ,
Unke hast ka paani sakshat amrit ka pyala
Mayoos hojati jab nikle humare chaala.
Sadaiv bankar rehti meri tumhari dhaal
Unke samast Baal na baka kar sake kaal ,
Atyant swadisht unke haatho ki roti
Jo girte hum woh bhi roti .
Maa hai prem ka ambaar
Inki god mein sampoorn sansaar ,
Woh hai parvat se nikli dhaara
Jinke charno mein jug saara.
Matra karne se adar satkaar
Swaim humara hota uddhar ,
Sambhalti hume jab ladkhadate kadam
Sikhati hume kaise chalate kalam.
Maa hai ek mazboot dori
Sulati humko sunakar lori ,
Kisi pyaase ke liye nadi ka jal
Kisi bhookhe ke liye meetha fal.
Maa hai gyaan ka bhandaar
Yug yug karta aya namaskaar ,
Woh hai ek sunhare fool ki sugandh
Aapke ane se jiske chehre par umang.
Maa hai ek kadi tapasya
Jo door karde saari samasya ,
Jinke bina hai khushiyaan adhoori
Aur unki chhaya mein duniya poori.
Maa shabd mein behad shakti
Nibhao apna dayitva karo unki bhakti ,
Prithvi par nahi prakat the parmatma
Bhej diya maa ko banakar param pujya aatma.
– Har Deepansh Bahadur Sinha