Kamal hai mohabbat
Jeetne par rona
Or haarne par hasna sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Saach ko jhoot manva kar
Saach ka saamna karna sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Raat bhar ashk bahakar bhi
Din hone par muskurana sikhati hai
Kamal hai mohabbat
Khud ibadat bankar aashiq ko apni aashiqui se ruburu hona sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Jo chot lag jaane par rota tha uski rooh bhi agar kaanp jaaye tab use majboot hona sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Itne dil todkar bhi sab ke dilo dimaag par chha jaati hai
Kamal hai mohabbat
deewane ko gale laga kar kaaton par khud chal Kar maashoqa ke liye phool bichhona sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Kabhi kabhi Manzil ek na ho Kar bhi ek hi raaste par shaan se chalna sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Dilruba ko najar dekhte hi Jo waqt kisi ke liye nahi rukta use apni aankhon se bandhna sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Jism me utre bina hi rooh me bas jaati hai jism ke deewano ko asal deewangi sikhati hai..
Kamal hai mohabbat
Milte sab kismat se hai par bicchadte apni marzi se lekin bicchadna hamesha bura nahi hota ye bhi sikhati hai..
kamal hai mohabbat
Saach kahu toh bawal hai mohabbat pata nahi acchi hai ya buri ke ab tak sawal hai mohabbat