Desh hai untees rajyon ka
Kendra-shaasit pradesh hain saat
Phir bhi logon mein pyaar hai
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Bhinna-bhinna bhashayen yahan
Bhinna-bhinna prathayen hn
Vyanjan yahan k mashhoor hn
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Bhinna h pehnava yahan ka
Bhut saare tyohar hn
Dilon m sabk bahar h
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Ye desh h kisano ka
Ye desh h jawano ka
Ye ve hn jo amar hn
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Samvado-vivado ka desh h
Kasmon-vaado ka desh h
Gantantra is desh ka praan h
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Log yahan k buddhiman hn
Log yahan k balwan hn
Ek-dusre par jaan dete hn
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Itne saare bhagwan hn
Itne saare dharmik-sthaan hn
Lekin logon m ekta apaar h
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Nritya yahan ka adbhut h
Shaastriya gaan varshon purana hai
Log rashtriya gaan par kurban hn
Hamare desh ki toh baat hi kuch aur hai.
Ye h hamari matrbhumi
Ye sone ki chidiya h
Sansar ka ye shringar h